Talak Ke Baad Sharayi Hal Aur Milaap Ke Raste
- Agar aap shohar hain aur aap ne apni biwi ko talaq de di hai aur ab sharminda hain aur apni biwi ke saath rishta barqarar rakhna chahte hain,ya aap aik biwi hain aur aap ke shohar ne aap ko talaq de di hai aur aap iss rishte ko khona nahi chahtin.
- To yaqeenan aap bechain aur bohat pareshan hongay ke iss ka raasta kya hai? Aur iss silsile mein durust aur sahi shari rehnumai kahan se mil sakti hai? Ho sakta hai aap internet aur YouTube par idhar udhar bhatak rahe hon, aur mukhtalif articles aur tarah tarah ki videos dekh kar aap confuse hon aur kuch samajh na aa raha ho ke aap ko kya karna chahiye.
- To ab aap ko pareshan hone ki zaroorat nahi hai aur na din raat dhoondh dhandh kar idhar udhar ki videos dekhne ki zaroorat hai, kyunke aise maslay se mutalliq hum ne tamam pehluon par videos record kar ke aik course ki shakal de di hai.
- Jahan aap ko in sha Allah iss maslay se mutalliq tamam sawalon par aik saath pachees se ziad videos dekhne ko milengi. Saath hi Urdu mein likhi gayi 800 safhat par mushtamil talaq ke mozu par hamari kitab bhi PDF mein aap ko parhne ko milegi. Neeche diye gaye button ya link par click kar ke iss course tak aap access haasil kar sakte hain.